Saare jahaan se achha
Hindustan hamaara
Hum bulbule(n) hai(n) uski
Woh gulsitaan hamaara.
Parbat woh sabse uncha
Hamsaya aasmanka
Woh santari hamaara
Woh pasban hamaara.
Godime(n) khelti hai(n)
Jiski hazaaro(n) nadiya
Gulshan hai jinki damse
Raksh-I-jinan hamaara..
Mazhab nahin sikhaata
Aapas main bair rakhna
Hindi hain hum watan hai
Hindustan hamaara.