Manmaohini prakruti ki jo godh mei(n) basaa hai, Sukh swarg-sa jahaan hai, vah desh kaun sa hai? Jiske charan nirantar ratnesh dho raha hai, Jiskaa mukut himalaya, vah desh kaun sa hai? Nadiya(n) jahaan sudha ki dhaara ban rahi hai, Seecha huva salona, vah desh kaun sa hai? Jiske bade rasile, phal-kand-naaj-meve, Sab ang mei(n) saje hai, vah desh kaun sa hai? Jisme sugandh waale, sundar prasun pyaare, Din- raat hus rahei(n) hai, vah desh kaun sa hai? Jiske anant dhan se dharti bhari padi hai, Sansaar ka shiromani, vah desh kaun sa hai? Sabse pratham jagat mei(n) jo sabhya tha yashaswi, Jagdish ka dulaara, vah desh kaun sa hai? Prithvi nivaasiyon ka jisne pratham jagaaya, Shikshit kiya, sudhaara, vah desh kaun sa hai? Jismein huve alokik, tatvagna brahmagyani, Gautam, Kapil, Patanjali, vah desh kaun sa hai? Chhodo swaraaj trunavat, aadesh se pita ke, Vah Ram the jahaan par, vah desh kaun sa hai? Nihswaarth shudh premi bhaayi base jahaan the, Laxman Bharat sarikhe, vah desh kaun sa hai? Devi pavitrata ki Sita jahaan huyi thi, Mateshwari jagat ki, vah desh kaun sa hai? Aadarsh nar jahaan par the bal-brahmachaari, Hanuman, Bhishma, Shankar, vah desh kaun sa hai? Vidwan, veer, yogi, guru raajnitiko ke Shrikrishna the jahaan par, vah desh kaun sa hai? Vijayi, bali, jahaan ke, bejod surma the Guru Dron, Bheem, Arjun, vah desh kaun sa hai? Jisme daadhichi daani, Harishchandra, Karna, se the, Sab log ka hiteshi, vah desh kaun sa hai? Pachpan karod jan hai, sevak saput jiske, Bhaarat sivay dooja, vah desh kaun sa hai?
Manmaohini prakruti ki jo godh mei(n) basaa hai, Sukh swarg-sa jahaan hai, vah desh kaun sa hai? Jiske charan nirantar ratnesh dho raha hai, Jiskaa mukut himalaya, vah desh kaun sa hai?
Nadiya(n) jahaan sudha ki dhaara ban rahi hai, Seecha huva salona, vah desh kaun sa hai? Jiske bade rasile, phal-kand-naaj-meve, Sab ang mei(n) saje hai, vah desh kaun sa hai?
Jisme sugandh waale, sundar prasun pyaare, Din- raat hus rahei(n) hai, vah desh kaun sa hai? Jiske anant dhan se dharti bhari padi hai, Sansaar ka shiromani, vah desh kaun sa hai?
Sabse pratham jagat mei(n) jo sabhya tha yashaswi, Jagdish ka dulaara, vah desh kaun sa hai? Prithvi nivaasiyon ka jisne pratham jagaaya, Shikshit kiya, sudhaara, vah desh kaun sa hai?
Jismein huve alokik, tatvagna brahmagyani, Gautam, Kapil, Patanjali, vah desh kaun sa hai? Chhodo swaraaj trunavat, aadesh se pita ke, Vah Ram the jahaan par, vah desh kaun sa hai?
Nihswaarth shudh premi bhaayi base jahaan the, Laxman Bharat sarikhe, vah desh kaun sa hai? Devi pavitrata ki Sita jahaan huyi thi, Mateshwari jagat ki, vah desh kaun sa hai?
Aadarsh nar jahaan par the bal-brahmachaari, Hanuman, Bhishma, Shankar, vah desh kaun sa hai? Vidwan, veer, yogi, guru raajnitiko ke Shrikrishna the jahaan par, vah desh kaun sa hai?
Vijayi, bali, jahaan ke, bejod surma the Guru Dron, Bheem, Arjun, vah desh kaun sa hai? Jisme daadhichi daani, Harishchandra, Karna, se the, Sab log ka hiteshi, vah desh kaun sa hai?
Pachpan karod jan hai, sevak saput jiske, Bhaarat sivay dooja, vah desh kaun sa hai?
Sorry. Due to our site's regulations and policies, your message has not been posted. Our moderating team has been notified about your message. If the message is found to be genuine and still did not get posted, you may not post the message again as it will automatically get posted for you within 24hrs time (excluding weekends).
- The Indiaparenting Team