Vijayi
vishwa tiranga pyaara
Jhanda
uncha rahei(n) humara
Sadaa
shakti sarsaane waala,
Prem
sudha barsaane waala,
Veero
ko harshaane waala,
Maatru
bhoomi ka tan-man saara,
Jhanda
uncha rahei(n) humara.
Swatantra
ke bheeshan run mein,
Lakhkar
josh badhein
kshan-kshan mein,
Kaape
shatru dekh kar man mein,
Mit jaye
bhay sankat saara
Jhanda
uncha rahei(n) humaara.
Is zande
ke neeche nirbhay,
Rahei(n)
swaadheen
hum avichal nishchay.
Bolo
Bhaarat maata ki jay.
Swatantrata
ho dhyey humara
Jhanda
uncha rahei(n) humaara.
Aao,
pyaare veero! Aao;
Desh-
dharm par bali-bali jao
Ek saath
sab mil kar gaao,
"Pyaara
Bhaarat desh humaara,
Jhanda
uncha rahei(n) humaara.
Iski
shaan na jaane paaye,
Chaahei(n)
jaan bhale hi jaye,
Vishwa
vijay karke dikhlaaye,
Tab hove
praan poorna humaara
Jhanda
uncha rahei(n) humaara,
Vijayi
vishwa tiranga pyaara." |