Om Jai Jagadeesh hare,
swaami jai jagadeesh hare;
Bhakth jano ke sankat,
daas jano ke sankat;
Kshan me dur kare,
Om Jai Jagadeesh hare.
Jo dhyaave phal paave,
dukh bin se man ka;
Sukh sampati ghar ave,
sukh sampati ghar ave;
Kasht mite tan ka,
Om Jai Jagadeesh hare.
Maata pita tum mere,
sharan gahu mai kiski;
Tum bin aur na duja,
tum bin aur na duja;
Aas karu mai jiski,
Om Jai Jagadeesh hare.
Tum karuna ke saagar,
tum paalan karta;
Mai murakh tum gyani,
mai sevak tum swami;
Kripa karo bharta,
Om Jai Jagadeesh hare.
Tum puran parmaatma,
tum antar yami;
Paar brahma parmeshwar,
paar brahma jagdeshwar;
Tum sabke swaami,
Om Jai Jagadeesh hare.
Tum ho ek agochar,
sabke praan pati;
Kis vid milu dayaamai,
kis vid milu gosaayin;
Tumko mai kumati,
Om Jai Jagadeesh hare.
Deen bandhu dukh harta,
tum thaakur mere;
Apne haath uthao,
apne sharan lagao;
Dwaar padi mai tere,
Om Jai Jagadeesh hare.
Vishay vikaar mitao,
paap haro deva;
Shradha bhakti badhao,
shradha bhakti badhao;
Santan ki seva,
Om Jai Jagadeesh hare.